सूर्योदय के बाद, कृष्ण कुणाल की लिखी कविता

Wednesday, January 27, 2016 0 Comments
_सूर्योदय के बाद_
(नींद से टूटने के बाद, खुले आँखों से देखे सपनों के टूटने के याद में)
कृष्ण कुणाल की लिखी कविता-



_After Sunrise_

Sapne mere toot gaye,
to na jane kyu a6a laga.
Sapno me kahin aur tha,
tha mai kisi aur jagah.

Is sapne me maine jise apna tha mana,
wo haqikat ki me tha koi begana.
Aur jo kuch ho raha tha,
use kavi hone nahi dega jamana.

Chalo chhoro in baato ko,
baat kuch aur karte hai.
Subah ki kiran ka maja ke sath,
chalo chaay ki chuskiya lete hai.

Jo baate such na ho,
un baato ko karna kya !
Aur na bataya us sapne ko,
aapas me iske liye jhagadna kya !

Kaise mai batata un baato ko,
milna, bicbhadna aur iska ahsaas.
Jiska haqikat me koi mayne na ho,
par sapne me ho khaash.

Meri in baato ko padhke,
vale meri chinta duniya karti hai !
Par ek baat kahoon,
haqikat me na sahi par sapno me mujhe isse khushi milti hai.
.
-AnAlone Krishna.
27/01/2016

Comments

Tags:
Loading Post Series...

Navigation 💡 [Select Categories from Edit]