(short story written by author on the occasion of fathers day for a friend who was missing his father)
-short story by AnAlone Krishna.
(short story)
Pichle saal aaj ke hi din, jab mere saare dost apne-apne papa ke saath father's day mana rahe the. Tab mai, akela thoda relax hone ke liye, jheel ke side chala gaya.
Waha maine 5 ladko ko bahoot enjoy karte dekha. Unme se ek unse alag hokar unke liye stall me kuch khane ke liye lene aa gaya. Khuskismati se tab mai stall ke saamne hi khada tha. Maine us se thoda sankoch karte hi puch diya ki, "tumlogo ki dosti bahoot purani lagti hai. Tumlog jaise masti kar rahe ho, lagta hai, tum me se kisi ka birthday hai."
Ispar usne matha jhookar thoda smile kiya. Fir thadhi aanhe bhari aur kaha,"nai waisa kuch v nahi hai. Humlog bas last semester hi dost bane hai. Hum savi padhaai ke liye baahar rahte hai." usne ek ladke ke tarf ishara karte hue kaha, "mere us dost ke father ki 2 month pahle death ho gayi. Wah apne papa se bahoot pyaar karta tha. Aaj father's day ke din kahi use apne papa ki yaad na sataaye. Isliye use aaj dinbhar enjoy karaakar hum chaaro dost busy rakhne ka kosish kar rahe hain. Taki mera yah pyara sa dost kahi kone me baithkar rone na lage."
Aur fir wo waapas apne group me chala gaya.
-AnAlone Krishna.
18th June, 2017 A.D.
Post a Comment
I am glad to read your precious responses or reviews. Please share this post to your loved ones with sharing your critical comment for appreciating or promoting my literary works. Also tag me @an.alone.krishna in any social media to collab.
Thanks again. 🙏🏻