-:Don't Expect Me:-
(poem representing to helplessness to other)
poem by AnAlone Krishna-
Dost bolkar karib aate ho,
Sochte ho tumhaara khabri ban jaaunga,
Par tumhe chaahiye jiski jankari,
Uska kavi mai na de paunga.
Uski koi khair khabar nahi,
Wo atit ka hissaa ban chuki hai,
Mere se uska haal na pucho,
Mere liye gujre kal ka kissa ban chuki hai.
Tum v kya pagal ho ?
Uske bare me mai kaise janunga ?
Mere se uska connection hi nahi,
To uske bare me kaise bataunga.
Kaam na kiya iske liye, sorry !
Maine tera dil todna na chaha,
Janta hoon usko iska matlab nahi,
Uska karibi hoon ya manchaaha.
Hum se tum kavi khafa na hona,
Door hoke tum juda na hona,
Dost mankar jee lunga ai dost,
Dil lagakar dilrooba na hona.
Kya jaroori hai karib ane ki,
Hamesha bas sirf dost hi samajhna,
Mil jaoge agar raste me kavi,
Dost mankar halki si smile de dena.
Baat na karo ye chalega,
Mai to gujre kal ki baat hoon,
Kavi jante the isliye smile de dena,
Lagega ki tumhe mai ab bhi yaad hoon.
-AnAlone Krishna.
16/08/2016
Post a Comment
I am glad to read your precious responses or reviews. Please share this post to your loved ones with sharing your critical comment for appreciating or promoting my literary works. Also tag me @an.alone.krishna in any social media to collab.
Thanks again. 🙏🏻