_Baarish aur Tum_
(Memorising someone special)
Poem by AnAlone Krishna.
_Baarish aur Tum_
Dharti ko aashma hai, de raha nami,
Mujhko hai yaad aa raha bas, teri hi hai kami.
Baarish to aaj v hai, aur bheeg raha hoon aaj bhi,
Tumhe bheeg-bheeg ke bheegte dekta tha, aaj yahi ho raha hai nahi.
Jharne se girta pani jaise kele ke patte pe girta ho,
Badan se hoke girta pani, ahsaas dilata tha mujhko wahi.
Khil-khilakar aankhe band karne par, baarish tumhe jo chumta tha,
Mann karta tha mai lad ja.oon badalo se, dushman ban jaunga mai v kavi.
Bas socha hi tha usse ladne, ki usne tumse dekh door kar diya,
Par mann me khatakta hai ki aashiqi dekh kar, saayad door huyi ho tum hi kahi.
Agar kavi tum kah deti ki, pasand na aya mai kavi,
To rah pata dil lagaakar, kisi aur se mera yahi.
-AnAlone Krishna.
04/07/2016

Post a Comment
I am glad to read your precious responses or reviews. Please share this post to your loved ones with sharing your critical comment for appreciating or promoting my literary works. Also tag me @an.alone.krishna in any social media to collab.
Thanks again. 🙏🏻