..Bahoot hi Muskil Kaam Hai..
(for conserving mind from disturbing things of maturity age)
-poem by AnAlone Krishna-
.
Tujhpar yah dil mera kuch is tarah se kho gaya.
Apna sabkuch bhool-bhal kar bas tera hi ho gaya.
.
Raaton me bina yaad kiye tujhe, mujhe neend nahi ata tha.
Dopahar me bhi agar ankhe band karta, to tera chehra cha jata tha.
.
Nadan tha mai us pal, jab dhyan na deta tha auro ki baato ko.
Dost mere kitna bhi samjhate, par mai padhta rahta teri aankho ko.
.
Dilchaspi na thi tujko mujhpar, agar mai yah baat pahle samajh jata.
To naadani me mai apne, pata nahi kya-kya kar jata.
.
Akshaa hua ab samajh aa gayi, ki tu bas ek khwab hai.
Aisa khwab jo kavi pura na ho, par yaadein teri nayab hai.
.
Yaado ke sahare mai jee lunga,mujhe dard-e-judai ko jeena hai.
Jyada dard hai to koi baat nahi mere paas mere dosto ka sina hai.
.
Aadat se mai lachar hoon, dhyan baar-baar teri or chala hi jata.
Kaas ki apne dil ko mai tujhpar phisalne se rok pata.
.
.
.
-AnAlone Krishna.
18/12/2015
Post a Comment
I am glad to read your precious responses or reviews. Please share this post to your loved ones with sharing your critical comment for appreciating or promoting my literary works. Also tag me @an.alone.krishna in any social media to collab.
Thanks again. 🙏🏻